Saturday, December 11, 2010

mrityu yatra

kucch pal cchin aur samay ke pagh chin,
lambi kahani aur pal main cchin binn.
kucch gucche hai salon se,
ikattha hue kaii ke ghar.
do kinare hai soch ke,
aur rasta ider na udhar.

bas beech sadak chalti hai,
pata nahi shayed sadiyon se.
jis taraf kisi ka rukh nahi,
sirf parcchaiyan chalti hai us raste pe.

ye parcchaiyan badi dundli hai,
zehen se lipti yadon ki tarha.
isi khayal se juda ik falsafa hai,
jo yahi hai par kahi bhi nahi.

rozana kafile chalte hai,
bude kahi aur jawan kahi.
bas safed libaas pehne hue,
aur hath main koi samaan nahi.

yeh ek mrityu yatra hai,
yaha kisi ki nahi chalti.
khaak se uthe due ki tarha,
aasma main kahi gum ho jati.
ye na dikhne wali yaden
fir barasti hai barish bankar
dil tak gehre do zarro se
aksar behti hai aansu bankar.

No comments: