ek roshini hai,
fisalti hui,
priyam ke man ke aangan se,
prem ke galiyaro se|
veh roshini hai
prabal jaise vishaal kaye vriksho ki tarha,
vriksh, ummeedo ke,
uunchi gagan chumbi icchaon ke,
rope hue kai varsho pehle,
pale-pose prem-rashmi se|
parantu ek kathin paristhiti hai|
jisne un aashao ko seencha
apne man darpan se,
apni kiranorpan se,
veh roshini hai
fisalti hui,
priyam ke man ke aangan se,
prem ke galiyaro se|
veh roshini hai
nirantar jaise madhur sangeet bansuri ka,
bin avarodh,
barish se lambi madhur taan,
jisne mantra mugadh kiya hriday drishti ko,
veh hriday gaan hai hriday antar main|
parantu ek kathin paristhiti hai|
jisne us geet ke bol likhe,
apni kirno ke kalam se,
apni swapn dwaat se,
veh roshini hai
fisalti hui,
priyam ke man ke aangan se,
prem ke galiyaro se||
veh roshini hai
rochak jaise yeh virah-awastha,
adbhut,
kisi vishay-vastu ki tarha,
ek kavita ke ansh se nikli,
keval ek paroksh-awastha|
parantu ek kathin paristhiti hai|
jisne is adrishya ras ka prawah kiya,
apni aseem gati se,
apni aseem shakti se,
veh roshini hai
fisalti hui,
priyam ke man ke aangan se,
prem ke galiyaro se||
jo yeh roshini hai
fisal rahi,
prem ke galiyaro se,
nabh nir avni taro se,
ek ansh peecche cchut raha||
rachnantargat jo icchayen thi,
veh lipt hai gehen viyog main|
par yadi main is par vilay karu,
to main prem-parmahans nahi|
aur yadi niswarth prem ka aadhaar samjhu,
to mera satyarth prakash vahi|
parantu ek kathin paristhiti hai|
jisse bani mere jeevan ki aadhaar samhita,
mere prem ki pramanikta,
mere prem ki sundarta,
veh roshini hai
fisalti hui,
priyam ke man ke aangan se,
prem ke galiyaro se||
Friday, December 31, 2010
Saturday, December 11, 2010
mrityu yatra
kucch pal cchin aur samay ke pagh chin,
lambi kahani aur pal main cchin binn.
kucch gucche hai salon se,
ikattha hue kaii ke ghar.
do kinare hai soch ke,
aur rasta ider na udhar.
bas beech sadak chalti hai,
pata nahi shayed sadiyon se.
jis taraf kisi ka rukh nahi,
sirf parcchaiyan chalti hai us raste pe.
ye parcchaiyan badi dundli hai,
zehen se lipti yadon ki tarha.
isi khayal se juda ik falsafa hai,
jo yahi hai par kahi bhi nahi.
rozana kafile chalte hai,
bude kahi aur jawan kahi.
bas safed libaas pehne hue,
aur hath main koi samaan nahi.
yeh ek mrityu yatra hai,
yaha kisi ki nahi chalti.
khaak se uthe due ki tarha,
aasma main kahi gum ho jati.
ye na dikhne wali yaden
fir barasti hai barish bankar
dil tak gehre do zarro se
aksar behti hai aansu bankar.

Tuesday, February 16, 2010
Kaise Kahu
Tere aane se behtar aur kucch to nahi hai,
Par aaj barish se gujarish kaise karu,
Maksood hai ye dil-E-tamanna kab se,
Par labon par ruke alfaz main kaise kahu.
Kehne ke khayal se hi sanse tham jati hai,
Fir tasveer-E-jhalak dhadkan chura leti hai,
Par mere hi jazbaat ka zuban par zor na ho,
To unki aankhon ko main apna mujhrim kaise kahu.
Aatish hai dil ke har kone main ik taraf,
Aur gum hai zehen apne hi ghar main kahi,
Hai uunchi uthti lapte bhi unki lagai hui,
Par kyun julas raha hai dil unse main kaise kahu.
apne aap ko us bakhsh ke aage sochta hu,
Jab main bhi kisi dargah main teri rah dekhu ga,
Tab bhi khush dikhu ga teri ibadat main ae khuda,
Aur tab bhi mera khuda bas tu hi rahe ga,
par jo aakhri azaan ka din mukarrar ho chuka hai
us din tak gehra dard main kaise sahu,
han ghar to mera sabz chader ke neeche hoga,
par intezaar hoga kabra pe bhi unse kaise kahu....
Unke aane se behtar aur kucch to nahi hai,
Par aaj barish se gujarish kaise karu.....

Subscribe to:
Posts (Atom)