Friday, February 20, 2015

fir ek roshni...



ae roshni,
yeh tum kis dar pe khadi ho,
bin aahat is seher mein
kis safar par chali ho.
tum kaise niklo gi in tang raho se
kaise bacho gi tum sari bedhang nigaho se,
is baar to tum akeli bhi nahi ho,
kuch kahaniya sath lekar, 
cchup cchupa ke chal rahi ho, 
jinke taar har dagar se jude hai
jinke rishte har nazar se jude hai, 
ae roshni yeh tum kis dar pe khadi ho,
bin aahat is seher mein
kis safar par chali ho.

par aaj jo tum is seher mein,
din ke teesre peher mein,
dabe pao, aahista aahista,
badd rahi ho is lambe safar mein,
ye safar aasaan nahi hai.
tum sirf armano ka aasre ho
par kahi zamin nahi
to kahi aasmaan nahi hai.

gar badna hoga is safar mein,
to sapno ko parr lagne do
jo chahaten ab tak soi hai,
un sab chahaton ko jagne do,
faila do apne rashmi teer,
aur khol do apni bahe tum.
na dhundho chahe manzil ko,
par mat lo lambi aahen tum. 

khair ik din aaaye ga,
jab sara jahan so jaye ga,
jab sirf hum tum jage honge,
aur saara fasla khatam ho jaye ga,
us din humare ishq ka noor hoga,
tab sirf meri nazren hongi
aur tumhara shugoor hoga.
tab aankho se aansu nahi bahenge,
tab hamare armaan koi gum na sahenge,
tab na raat rahegi na din rahen ge,
yeh seher bhi na hogi,
yeh safar bhi na hoga,
us din shayed hum bhi na rahen ge
us din shayed tum bhi na raho ge......

atishyokti!

ati-shyokti,
wah! kitni rochak ho tum.


itni saralta se baan cchod diye
unmukt gagan bhi kitna tucch hai aaj
gatisheel hawao ko rok liya hatheli se
sabhi jal dharao ke rukh mod diye.

ati-shyokti,
wah! kitni rochak ho tum  

aisi ghambheer sthiti hai,
jaise sabhi jalashey suukh gaye ho,
jaise saari shrishti doob gayi kisi soug mein
jaise sabhi parvato ki neev hil gayi ho
jaise mrityu hui kisi jeev ki kokh mein.
par tum itni nirdayi nahi thi,
tumne itni baat kabhi na kahi thi,
aaj jo tumne gehen peeda di hai
is peeda ki hume kalpana bhi nahi thi.

ati-shyokti,
wah! kitni rochak ho tum.

itni saralta se baan cchod diye
unmukt gagan bhi kitna tucch hai aaj
gatisheel hawao ko rok liya hatheli se
sabhi jal dharao ke rukh mod diye.

kaisa yeh rishta hai!

yu to nikli hui is baat par  yakeen aaye
par har alfaaz ke wajood par hasi aaye

khush numa to hai har lamha mere  jahan mei abhi
fir kyu is khushi ki har baat pe sharam aaye.
kaii rishto mei nahi mumkin hota khush reh pana
khush rahte hai hum is rishte mei kaii gumm khaye.
yu to nikli hui is baat par  yakeen aaye
par har alfaaz ke wajood par hasi aaye

aisa lagta hai ke ik raat hai chandni se saji
fir bhi chahu ke ye raat jald hi dhall jaye
hua gulzaar kai baar mera jahan parde ke peecche
darr hai jo pardah gira mera  gulzaar na bikhar jaye
yu to nikli hui is baat par  yakeen aaye

par har alfaaz ke wajood par hasi aaye