Sunday, November 23, 2008

maula rok de(urdu)

Maula rok de is jung ko is fasaad ko,
Jal jaye gi insaaniyat is aag main,
Kis mazhabi jung ka nateeja ho,
Yeh zindagi nahi bachi tabhahi main.


Sar kat rahe chand tukde zameen ke liye,
Aur khoon le raha aansuo ki jaghah,
par kis ki wasihat likh gaya tu khuda,
Bta kon kya kya sath le kar jayega.
Maula rok……….


Zehen kafir hue aur dil yahan jakade hai kyun,
Zameer kho chuka sab mar chuke jazbaat kyun,
Fir kis ki soch badle ga tu khuda,
chun liye tere bhi tukde mazhabo nain yahan.
Maula rok………..


maut ka dar har bashar ko aaj kal
aur khali hai jazbaat khush khabron main
ajab sannata hai in goonjti cheenkho main
bas zinda hai to sirf bilakhti khwaishen.
maula rok......

No comments: